sirf aankhen thin abhi un mein ishaare nahin the
sirf āñkheñ thiiñ abhī un meñ ishāre nahīñ the
dil pe mausam ye mohabbat ne utāre nahīñ the
jaisī rātoñ meñ safar ham ne kiyā thā āġhāz
sar-ba-sar samteñ hī samteñ thiiñ sitāre nahīñ the
ab to har shaḳhs kī ḳhātir huī matlūb hameñ
ham kisī ke bhī nahīñ the jo tumhāre nahīñ the
jab hameñ koī tavaqqo hī nahīñ thī tum se
aise us vaqt bhī hālāt hamāre nahīñ the
mohlat-e-umr meñ rahne diye us ne shāmil
jo shab o roz kabhī ham ne guzāre nahīñ the
jab nazāre the to āñkhoñ ko nahīñ thī parvā
ab inhī āñkhoñ ne chāhā to nazāre nahīñ the
Duub hī jaanā muqaddar thā hamārā ki vahāñ
jis taraf dekhiye paanī thā kināre nahīñ the
kyuuñ nahīñ ishq bhalā har-kas-o-nā-kas kā shi.ār
is tijārat meñ agar itne ḳhasāre nahīñ the
Thiik hai koī madad ko nahīñ pahuñchā lekin
ye bhī sach hai ki 'zafar' ham bhī pukāre nahīñ the
sirf aankhen thin abhi un mein ishaare nahin the
dil pe mausam ye mohabbat ne utare nahin the
jaisi raaton mein safar hum ne kiya tha aaghaz
sar-ba-sar samten hi samten thin sitare nahin the
ab to har shaKHs ki KHatir hui matlub hamein
hum kisi ke bhi nahin the jo tumhaare nahin the
jab hamein koi tawaqqo hi nahin thi tum se
aise us waqt bhi haalat hamare nahin the
mohlat-e-umr mein rahne diye us ne shamil
jo shab o roz kabhi hum ne guzare nahin the
jab nazare the to aankhon ko nahin thi parwa
ab inhi aankhon ne chaha to nazare nahin the
Dub hi jaana muqaddar tha hamara ki wahan
jis taraf dekhiye pani tha kinare nahin the
kyun nahin ishq bhala har-kas-o-na-kas ka shiar
is tijarat mein agar itne KHasare nahin the
Thik hai koi madad ko nahin pahuncha lekin
ye bhi sach hai ki 'zafar' hum bhi pukare nahin the
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 146)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.