sirf baiThe hue aahen na bharo
sirf baiThe hue aaheñ na bharo
ishrat-e-dil ke liye kuchh to karo
valvaloñ ko na kahīñ niiñd aa jaa.e
sitam-e-ahl-e-sitam se na Daro
hai ye qismat kī shikāyat be-sūd
tum meñ jauhar bhī hai kuchh be-hunro
daaġh hī daaġh nazar ā.eñge
chāñd meñ bhī tumheñ ai kam-nazro
manzil-e-sabr bahut aage hai
sarhad-e-zulm se bedād-garo
apne ghar-bār se rahnā hoshyār
merā ghar phūñk ke shorīda-saro
ḳhūn-e-dil apnā bahā kar 'jarrār'
rañg-e-tasvīr mohabbat meñ bharo
sirf baiThe hue aahen na bharo
ishrat-e-dil ke liye kuchh to karo
walwalon ko na kahin nind aa jae
sitam-e-ahl-e-sitam se na Daro
hai ye qismat ki shikayat be-sud
tum mein jauhar bhi hai kuchh be-hunro
dagh hi dagh nazar aaenge
chand mein bhi tumhein ai kam-nazro
manzil-e-sabr bahut aage hai
sarhad-e-zulm se bedad-garo
apne ghar-bar se rahna hoshyar
mera ghar phunk ke shorida-saro
KHun-e-dil apna baha kar 'jarrar'
rang-e-taswir mohabbat mein bharo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.