sirf kaghaz ke phul hote hain
sirf kāġhaz ke phuul hote haiñ
log āñkhoñ kī dhuul hote haiñ
ye koī moḌ hai judā.ī kā
vāpsī ke usuul hote haiñ
ek patthar se bārhā Thokar
ye bharose bhī bhuul hote haiñ
jab talak tum nazar nahīñ aate
saare mausam fuzūl hote haiñ
dil sahīfa hai ik mohabbat kā
aur chehre rasūl hote haiñ
saare muḳhlis hī ābdīda haiñ
aap kyūñkar malūl hote haiñ
chand lamhe visāl ke 'fauzī'
qurbatoñ kā husūl hote haiñ
sirf kaghaz ke phul hote hain
log aankhon ki dhul hote hain
ye koi moD hai judai ka
wapsi ke usul hote hain
ek patthar se barha Thokar
ye bharose bhi bhul hote hain
jab talak tum nazar nahin aate
sare mausam fuzul hote hain
dil sahifa hai ek mohabbat ka
aur chehre rasul hote hain
sare muKHlis hi aabdida hain
aap kyunkar malul hote hain
chand lamhe visal ke 'fauzi'
qurbaton ka husul hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.