sirf KHayalon mein na raha kar
sirf ḳhayāloñ meñ na rahā kar
ḳhud se bāhar bhī niklā kar
lab pe nahīñ ātīñ sab bāteñ
ḳhāmoshī ko bhī samjhā kar
umr sañvar jā.egī terī
pyaar ko apnā ā.īna kar
jab tū koī qalam ḳharīde
pahle un kā naam likhā kar
soch samajh sab taaq pe rakh kar
pyaar meñ bachchoñ sā machlā kar
sirf KHayalon mein na raha kar
KHud se bahar bhi nikla kar
lab pe nahin aatin sab baaten
KHamoshi ko bhi samjha kar
umr sanwar jaegi teri
pyar ko apna aaina kar
jab tu koi qalam KHaride
pahle un ka nam likha kar
soch samajh sab taq pe rakh kar
pyar mein bachchon sa machla kar
- Book : Kuchh Aur Tarah Se Bhi (Gazal) (Pg. 76)
- Author : Hastimal Hasti
- Publication : Vani Prakashan (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.