sirf tera nam le kar rah gaya
sirf terā naam le kar rah gayā
aaj dīvāna bahut kuchh kah gayā
kyā mirī taqdīr meñ manzil nahīñ
fāsla kyuuñ muskurā kar rah gayā
zindagī duniyā meñ aisā ashk thī
jo zarā palkoñ pe Thahrā bah gayā
aur kyā thā us kī pursish kā javāb
apne hī aañsū chhupā kar rah gayā
us se pūchh ai kāmyāb-e-zindagī
jis kā afsāna adhūrā rah gayā
haa.e kyā dīvāngī thī ai 'vasīm'
jo na kahnā chāhiye thā kah gayā
sirf tera nam le kar rah gaya
aaj diwana bahut kuchh kah gaya
kya meri taqdir mein manzil nahin
fasla kyun muskura kar rah gaya
zindagi duniya mein aisa ashk thi
jo zara palkon pe Thahra bah gaya
aur kya tha us ki pursish ka jawab
apne hi aansu chhupa kar rah gaya
us se puchh ai kaamyab-e-zindagi
jis ka afsana adhura rah gaya
hae kya diwangi thi ai 'wasim'
jo na kahna chahiye tha kah gaya
- Book : Mera Kiya (Pg. 64)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.