sirf ummid par Tiki miTTi
sirf ummīd par Tikī miTTī
kuchh na.e ḳhvāb dekhtī miTTī
uḌ lo jitnā yahīñ pe aaoge
kah rahī hai zamīn kī miTTī
rauñd lo kitnā ye haqīqat hai
ek din sab ko rauñdegī miTTī
maiñ ne dekhā hai aisā bhī manzar
miTTī miTTī meñ mil ga.ī miTTī
pyaar jis ko nahīñ milā samjho
ho ga.ī us kī zindagī miTTī
aa.ina kaise saaf dikhlātā
us ke chehre pe thī sanī miTTī
ik na.ī zindagī kī chāhat meñ
chaak par ghūmtī rahī miTī
sirf ummid par Tiki miTTi
kuchh nae KHwab dekhti miTTi
uD lo jitna yahin pe aaoge
kah rahi hai zamin ki miTTi
raund lo kitna ye haqiqat hai
ek din sab ko raundegi miTTi
main ne dekha hai aisa bhi manzar
miTTi miTTi mein mil gai miTTi
pyar jis ko nahin mila samjho
ho gai us ki zindagi miTTi
aaina kaise saf dikhlata
us ke chehre pe thi sani miTTi
ek nai zindagi ki chahat mein
chaak par ghumti rahi miTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.