sisak rahi hain thaki hawaen lipaT ke unche sanobaron se
sisak rahi hain thaki hawaen lipaT ke unche sanobaron se
Ghulam Husain Sajid
MORE BYGhulam Husain Sajid
sisak rahī haiñ thakī havā.eñ lipaT ke ūñche sanobaroñ se
lahū kī mahkār aa rahī hai kaTe hue shaam ke paroñ se
'ajab nahīñ ḳhaak kī udāsī bharī nigāhoñ kā izn pā kar
palaT paḌeñ ek din ravāñ pāniyoñ ke dhāre samundaroñ se
vo kaun thā jo kahīñ bahut duur ke nagar se pukārtā thā
vo kyā sadā thī ki aisī ujlat meñ log ruḳhsat hue gharoñ se
badan meñ phir saañs le rahā hai alaav andhī masāfatoñ kā
nigāh mānūs ho rahī thī abhī paḌāv ke manzaroñ se
maiñ huuñ magar aaj us galī ke sabhī darīche khule hue haiñ
ki ab maiñ āzād ho chukā huuñ tamām āñkhoñ ke dā.eroñ se
qalam ke e'jāz se kisī par unheñ maiñ kyā iḳhtiyār dūñgā
vo jin kī tanzīm ho sakī thī na un ke apne payambaroñ se
jo ho sake to vajūd hī kī kharī 'adālat se faisla lo
fuzūl hai jurm ke natīje meñ dād-ḳhvāhī sitamgaroñ se
sisak rahi hain thaki hawaen lipaT ke unche sanobaron se
lahu ki mahkar aa rahi hai kaTe hue sham ke paron se
'ajab nahin KHak ki udasi bhari nigahon ka izn pa kar
palaT paDen ek din rawan paniyon ke dhaare samundaron se
wo kaun tha jo kahin bahut dur ke nagar se pukarta tha
wo kya sada thi ki aisi ujlat mein log ruKHsat hue gharon se
badan mein phir sans le raha hai alaw andhi masafaton ka
nigah manus ho rahi thi abhi paDaw ke manzaron se
main hun magar aaj us gali ke sabhi dariche khule hue hain
ki ab main aazad ho chuka hun tamam aankhon ke daeron se
qalam ke e'jaz se kisi par unhen main kya iKHtiyar dunga
wo jin ki tanzim ho saki thi na un ke apne payambaron se
jo ho sake to wajud hi ki khari 'adalat se faisla lo
fuzul hai jurm ke natije mein dad-KHwahi sitamgaron se
- Book : meyaar (Pg. 385)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.