sisakti rut ko mahakta gulab kar dunga
sisaktī rut ko mahaktā gulāb kar dūñgā
maiñ is bahār meñ sab kā hisāb kar dūñgā
maiñ intizār meñ huuñ tū koī savāl to kar
yaqīn rakh maiñ tujhe lā-javāb kar dūñgā
hazār pardoñ meñ ḳhud ko chhupā ke baiTh magar
tujhe kabhī na kabhī be-naqāb kar dūñgā
mujhe bharosa hai apne lahū ke qatroñ par
maiñ neze neze ko shāḳh-e-gulāb kar dūñgā
mujhe yaqīn ki mahfil kī raushnī huuñ maiñ
use ye ḳhauf ki mahfil ḳharāb kar dūñgā
mujhe gilās ke andar hī qaid rakh varna
maiñ saare shahr kā paanī sharāb kar dūñgā
mahājanoñ se kaho thoḌā intizār kareñ
sharāb-ḳhāne se aa kar hisāb kar dūñgā
sisakti rut ko mahakta gulab kar dunga
main is bahaar mein sab ka hisab kar dunga
main intizar mein hun tu koi sawal to kar
yaqin rakh main tujhe la-jawab kar dunga
hazar pardon mein KHud ko chhupa ke baiTh magar
tujhe kabhi na kabhi be-naqab kar dunga
mujhe bharosa hai apne lahu ke qatron par
main neze neze ko shaKH-e-gulab kar dunga
mujhe yaqin ki mahfil ki raushni hun main
use ye KHauf ki mahfil KHarab kar dunga
mujhe gilas ke andar hi qaid rakh warna
main sare shahr ka pani sharab kar dunga
mahajanon se kaho thoDa intizar karen
sharab-KHane se aa kar hisab kar dunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.