sitare haar chuki thi sabhi juari raat
sitāre haar chukī thī sabhī juārī raat
bas ek chāñd bachā thā so vo bhī haarī raat
batāo kaise kahāñ tum ne kal guzārī raat
uThā.ī suud pe yā qarz pe utārī raat
nahīñ bulā.ī nahīñ ham ne ḳhud-baḳhud aa.ī
yahāñ na aatī to jaatī kahāñ bechārī raat
utārā Taañg diyā raincoat khūñTī par
phir us se ristī rahī buuñd buuñd saarī raat
yahī hisāb hai apnī bhī zindagī kā dost
naqd meñ din kā kiyā saudā aur udhārī raat
hameñ kafan nazar aane lage sitāroñ par
jo bachpane meñ sitāroñ kī thī piTārī raat
sitare haar chuki thi sabhi juari raat
bas ek chand bacha tha so wo bhi haari raat
batao kaise kahan tum ne kal guzari raat
uThai sud pe ya qarz pe utari raat
nahin bulai nahin hum ne KHud-baKHud aai
yahan na aati to jati kahan bechaari raat
utara Tang diya raincoat khunTi par
phir us se risti rahi bund bund sari raat
yahi hisab hai apni bhi zindagi ka dost
naqd mein din ka kiya sauda aur udhaari raat
hamein kafan nazar aane lage sitaron par
jo bachpane mein sitaron ki thi piTari raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.