sitare muntazir hain saz-e-kahkashan liye hue
sitāre muntazir haiñ sāz-e-kahkashāñ liye hue
zamīñ kā chāñd uTh rahā hai āsmāñ liye hue
jo din Dhalā huā rukī kuchh aisī shām-e-ġham jhukī
charāġh-e-zindagī kī lau uThī dhuāñ liye hue
kaThin agar Dagar meñ marhale to tez-tar hoñ valvale
chalo na is tarah matā.a-e-sargirāñ liye hue
na shāḳh-e-gul na āshiyāñ magar kareñge ḳhasta-jāñ
tavāf-e-bostāñ hazār dāstāñ liye hue
nahīñ ki zindagī hameñ kahāñ kahāñ liye phirī
hai yuuñ ki ham ga.e use kahāñ kahāñ liye hue
ye sāz-e-talḳhī-e-zamāñ hazār naġhma bar-zabāñ
ye yād-e-mahr-e-gul-ruḳhāñ ġham-e-jahāñ liye hue
ba-faiz-e-shām-e-mai-kadā nazar ko nūr-e-sāqiyā
ufuq pe chhā ga.ī ghaTā siyāhiyāñ liye hue
ye apnā apnā saath hai safar safar kī baat hai
kahīñ pe ham bhī aa mileñge kārvāñ liye hue
lahak lahak ke nāsehā bashārat-e-iram na de
ki ham vahāñ bhī rah chuke haiñ jism-o-jāñ liye hue
harīf-e-mudda.ī sahī magar vahī 'shahāb' huuñ
jo ab tak hai mizāj-e-dostāñ liye hue
sitare muntazir hain saz-e-kahkashan liye hue
zamin ka chand uTh raha hai aasman liye hue
jo din Dhala hua ruki kuchh aisi sham-e-gham jhuki
charagh-e-zindagi ki lau uThi dhuan liye hue
kaThin agar Dagar mein marhale to tez-tar hon walwale
chalo na is tarah mataa-e-sargiran liye hue
na shaKH-e-gul na aashiyan magar karenge KHasta-jaan
tawaf-e-bostan hazar dastan liye hue
nahin ki zindagi hamein kahan kahan liye phiri
hai yun ki hum gae use kahan kahan liye hue
ye saz-e-talKHi-e-zaman hazar naghma bar-zaban
ye yaad-e-mahr-e-gul-ruKHan gham-e-jahan liye hue
ba-faiz-e-sham-e-mai-kada nazar ko nur-e-saqiya
ufuq pe chha gai ghaTa siyahiyan liye hue
ye apna apna sath hai safar safar ki baat hai
kahin pe hum bhi aa milenge karwan liye hue
lahak lahak ke naseha bashaarat-e-iram na de
ki hum wahan bhi rah chuke hain jism-o-jaan liye hue
harif-e-muddai sahi magar wahi 'shahab' hun
jo ab tak hai mizaj-e-dostan liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.