sitare raqs karte hain na tare raqs karte hain
sitāre raqs karte haiñ na taare raqs karte haiñ
tirī ḳhātir shab-e-furqat ke maare raqs karte haiñ
kabhī aa kar chale jaanā kabhī chhupnā kabhī milnā
mirī āñkhoñ meñ ab tak vo nazāre raqs karte haiñ
na jaane mutriba ne saaz par dhun kaisī chheḌī hai
sharīk-e-bazm jitne haiñ vo saare raqs karte haiñ
zarā sī chheḌ par ai shams' un kī kaifiyat ye hai
ġhazab ke maare āñkhoñ meñ sharāre raqs karte haiñ
sitare raqs karte hain na tare raqs karte hain
teri KHatir shab-e-furqat ke mare raqs karte hain
kabhi aa kar chale jaana kabhi chhupna kabhi milna
meri aankhon mein ab tak wo nazare raqs karte hain
na jaane mutriba ne saz par dhun kaisi chheDi hai
sharik-e-bazm jitne hain wo sare raqs karte hain
zara si chheD par ai shams' un ki kaifiyat ye hai
ghazab ke mare aankhon mein sharare raqs karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.