sitam ahl-e-karam farma rahe hain
sitam ahl-e-karam farmā rahe haiñ
vafāoñ ko pasīne aa rahe haiñ
uThā.e haiñ jo patthar māriyegā
tavaqquf aap kyuuñ farmā rahe haiñ
ġhazal ko ḳhūn-e-dil se aab de kar
ma.ānī ham na.e pahnā rahe haiñ
mujhe merī javānī ke taqāze
tamannāoñ se kyuuñ uljhā rahe haiñ
sar-e-mahfil ġhazal jo nā-ravā thī
use tanhā.ī meñ ḳhud gā rahe haiñ
na 'anjum' dāstān-e-dil sunāo
vo dekho log uTh kar jā rahe haiñ
sitam ahl-e-karam farma rahe hain
wafaon ko pasine aa rahe hain
uThae hain jo patthar mariyega
tawaqquf aap kyun farma rahe hain
ghazal ko KHun-e-dil se aab de kar
maani hum nae pahna rahe hain
mujhe meri jawani ke taqaze
tamannaon se kyun uljha rahe hain
sar-e-mahfil ghazal jo na-rawa thi
use tanhai mein KHud ga rahe hain
na 'anjum' dastan-e-dil sunao
wo dekho log uTh kar ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.