sitam bhi karta hai us ka sila bhi deta hai
sitam bhī kartā hai us kā sila bhī detā hai
ki mere haal pe vo muskurā bhī detā hai
shanāvaroñ ko usī ne Dubo diyā shāyad
jo Dūbtoñ ko kināre lagā bhī detā hai
yahī sukūt yahī dasht-e-jāñ kā sannāTā
jo sunñā chāhe koī to sadā bhī detā hai
ajiib kūcha-e-qātil kī rasm hai ki yahāñ
jo qatl kartā hai vo ḳhūñ-bahā bhī detā hai
vo kaun hai ki jalātā hai dil meñ sham-e-umīd
phir apne haath se us ko bujhā bhī detā hai
vo kaun hai ki banātā hai naqsh paanī par
to pattharoñ kī lakīreñ miTā bhī detā hai
vo kaun hai ki jo bantā hai raah meñ dīvār
aur us ke ba.ad na.ī rah dikhā bhī detā hai
vo kaun hai ki dikhātā hai rañg rañg ke ḳhvāb
añdherī rātoñ meñ lekin jagā bhī detā hai
vo kaun hai ki ġhamoñ se navāztā hai mujhe
ġhamoñ ko sahne kā phir hausla bhī detā hai
mujhī se koī chhupātā hai rāz-e-ġham sar-e-shām
mujhī ko āḳhir-e-shab phir batā bhī detā hai
sitam bhi karta hai us ka sila bhi deta hai
ki mere haal pe wo muskura bhi deta hai
shanawaron ko usi ne Dubo diya shayad
jo Dubton ko kinare laga bhi deta hai
yahi sukut yahi dasht-e-jaan ka sannaTa
jo sunna chahe koi to sada bhi deta hai
ajib kucha-e-qatil ki rasm hai ki yahan
jo qatl karta hai wo KHun-baha bhi deta hai
wo kaun hai ki jalata hai dil mein sham-e-umid
phir apne hath se us ko bujha bhi deta hai
wo kaun hai ki banata hai naqsh pani par
to pattharon ki lakiren miTa bhi deta hai
wo kaun hai ki jo banta hai rah mein diwar
aur us ke baad nai rah dikha bhi deta hai
wo kaun hai ki dikhata hai rang rang ke KHwab
andheri raaton mein lekin jaga bhi deta hai
wo kaun hai ki ghamon se nawazta hai mujhe
ghamon ko sahne ka phir hausla bhi deta hai
mujhi se koi chhupata hai raaz-e-gham sar-e-sham
mujhi ko aaKHir-e-shab phir bata bhi deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.