sitam firaq ke sadmon ne ai nigar kiya
sitam firaq ke sadmon ne ai nigar kiya
Inayatullah Raushan Badauni
MORE BYInayatullah Raushan Badauni
sitam firāq ke sadmoñ ne ai nigār kiyā
jigar ko ḳhuun kiyā dil ko dāġh-dār kiyā
ye sho.abde haiñ tire inqilāb-e-dahr nahīñ
are faqīr ise tū ne shahryār kiyā
kabhī bahisht ke qābil na the mire a.amāl
karīm tere karam ne umīd-vār kiyā
hazār-haif ki marqad pe bhī huā andher
havā ne kushta charāġh-e-sar-e-mazār kiyā
sitam-shi.ār sitam kā ḳharāb hai anjām
burā kiyā sitam ai charḳh iḳhtiyār kiyā
adam meñ qāfile vaale pahuñch ga.e 'raushan'
ye ghar ujaaḌ ke ābād vo dayār kiyā
sitam firaq ke sadmon ne ai nigar kiya
jigar ko KHun kiya dil ko dagh-dar kiya
ye shoabde hain tere inqilab-e-dahr nahin
are faqir ise tu ne shahryar kiya
kabhi bahisht ke qabil na the mere aamal
karim tere karam ne umid-war kiya
hazar-haif ki marqad pe bhi hua andher
hawa ne kushta charagh-e-sar-e-mazar kiya
sitam-shiar sitam ka KHarab hai anjam
bura kiya sitam ai charKH iKHtiyar kiya
adam mein qafile wale pahunch gae 'raushan'
ye ghar ujaD ke aabaad wo dayar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.