sitam kab un pe Dhaya hai kisi ne
sitam kab un pe Dhāyā hai kisī ne
bas ā.īna dikhāyā hai kisī ne
falak se ḳhuuñ kī bārish kyuuñ na hotī
zamīñ kā dil dikhāyā hai kisī ne
mirī āñkheñ chhalakne lag ga.iiñ haiñ
ta.alluq kyā nibhāyā hai kisī ne
siyāsat khel hai jādūgarī kā
tamāshā.ī banāyā hai kisī ne
bahut nāzuk badan hai shā.irī kā
ki jaise gul uThāyā hai kisī ne
baḌī rāhat milī 'jāved' dil ko
gale se jab lagāyā hai kisī ne
sitam kab un pe Dhaya hai kisi ne
bas aaina dikhaya hai kisi ne
falak se KHun ki barish kyun na hoti
zamin ka dil dikhaya hai kisi ne
meri aankhen chhalakne lag gain hain
talluq kya nibhaya hai kisi ne
siyasat khel hai jadugari ka
tamashai banaya hai kisi ne
bahut nazuk badan hai shairi ka
ki jaise gul uThaya hai kisi ne
baDi rahat mili 'jawed' dil ko
gale se jab lagaya hai kisi ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.