sitam ke sath rahna hai saza ke sath rahna hai
sitam ke saath rahnā hai sazā ke saath rahnā hai
vafā ban kar mujhe us bevafā ke saath rahnā hai
tabassum-rez rahnā hai laboñ ko sī ke rakhnā hai
jalāne haiñ diye aur phir havā ke saath rahnā hai
tirī bebāk nazroñ ne mujhe ye hausla baḳhshā
mujhe ashkoñ meñ Dhal kar bhī adā ke saath rahnā hai
abhī ummīd hai dil ko vo shāyad lauT hī aa.e
abhī kuchh roz sajde meñ duā ke saath rahnā hai
mirī āñkhoñ ke sab sapne agarche Tuut bhī jaa.eñ
mujhe talqīn hai is kī sazā ke saath rahnā hai
sitam ke sath rahna hai saza ke sath rahna hai
wafa ban kar mujhe us bewafa ke sath rahna hai
tabassum-rez rahna hai labon ko si ke rakhna hai
jalane hain diye aur phir hawa ke sath rahna hai
teri bebak nazron ne mujhe ye hausla baKHsha
mujhe ashkon mein Dhal kar bhi ada ke sath rahna hai
abhi ummid hai dil ko wo shayad lauT hi aae
abhi kuchh roz sajde mein dua ke sath rahna hai
meri aankhon ke sab sapne agarche Tut bhi jaen
mujhe talqin hai is ki saza ke sath rahna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.