sitam ki intiha par chal rahi hai
sitam kī intihā par chal rahī hai
ye duniyā kis ḳhudā par chal rahī hai
diloñ par qahr kā mausam hai kaisā
mirī bastī duā par chal rahī hai
lahū se khelte haiñ sab farishte
siyāsat fātiha par chal rahī hai
zabāñ kaaTī ga.ī kis ḳhush-dahan kī
ki hujjat zā.iqa par chal rahī hai
badan meñ saañs letā hai samundar
mirī kashtī havā par chal rahī hai
qanā.at hai kisī muflis kī biivī
riyāsat dāshta par chal rahī hai
ġhazal kī shā.erī ḳhurshīd-akbar
bisāt-e-marsiya par chal rahī hai
sitam ki intiha par chal rahi hai
ye duniya kis KHuda par chal rahi hai
dilon par qahr ka mausam hai kaisa
meri basti dua par chal rahi hai
lahu se khelte hain sab farishte
siyasat fatiha par chal rahi hai
zaban kaTi gai kis KHush-dahan ki
ki hujjat zaiqa par chal rahi hai
badan mein sans leta hai samundar
meri kashti hawa par chal rahi hai
qanaat hai kisi muflis ki biwi
riyasat dashta par chal rahi hai
ghazal ki shaeri KHurshid-akbar
bisat-e-marsiya par chal rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.