sitam mein bhi to pahlu unki zinat ke nikalte hain
sitam meñ bhī to pahlū un kī zīnat ke nikalte haiñ
hamāre ḳhūñ-shuda dil ko hasīñ talvoñ se malte haiñ
shigāf-e-sīna sūrāḳh-e-jigar chāk-e-dil-e-āshiq
mohabbat kī galī se saikḌoñ raste nikalte hai
tumhārī maañg ke āshiq haiñ shaiḳh-o-barhaman donoñ
ye vo rasta hai jis par dost dushman saath chalte haiñ
khaTak aaj āñsuoñ kī de rahī hai ye ḳhabar mujh ko
chubhe the dil meñ jo kāñTe vo āñkhoñ se nikalte haiñ
maiñ us ulfat ke sadqe huuñ maiñ us nafrat ke qurbāñ huuñ
jagah hai 'rāz' kī dil meñ magar sūrat se jalte haiñ
sitam mein bhi to pahlu un ki zinat ke nikalte hain
hamare KHun-shuda dil ko hasin talwon se malte hain
shigaf-e-sina suraKH-e-jigar chaak-e-dil-e-ashiq
mohabbat ki gali se saikDon raste nikalte hai
tumhaari mang ke aashiq hain shaiKH-o-barhaman donon
ye wo rasta hai jis par dost dushman sath chalte hain
khaTak aaj aansuon ki de rahi hai ye KHabar mujh ko
chubhe the dil mein jo kanTe wo aankhon se nikalte hain
main us ulfat ke sadqe hun main us nafrat ke qurban hun
jagah hai 'raaz' ki dil mein magar surat se jalte hain
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 71)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.