sitam sahte hue har din nai KHwahish se Darta hun
sitam sahte hue har din na.ī ḳhvāhish se Dartā huuñ
mirī āñkhoñ meñ ġham hai aur maiñ bārish se Dartā huuñ
mirī pākīzgī ne hī banāyā hai mujhe munsif
so maiñ insāf karte vaqt har laġhzish se Dartā huuñ
diloñ kī vus.atoñ ko baañT hī saktī nahīñ duniyā
maiñ qistoñ meñ bañTā huuñ aur paimā.ish se Dartā huuñ
jalātā huuñ mohabbat ke diye nafrat ke āñgan meñ
nazar rakhtā huuñ dushman par har ik shorish se Dartā huuñ
mirī āvārgī mujh ko kahīñ rukne nahīñ detī
parinda huuñ rihā.ish kī har ik ḳhvāhish se Dartā huuñ
ġhazal meñ justujū rakhtā huuñ maiñ mafhūm-e-tāzā kā
mire nāqid maiñ ḳhud lafzoñ kī ārā.ish se Dartā huuñ
ajab ehsās kī manzil pe aa pahuñchā huuñ ai 'rāhī'
lagātā huuñ diloñ meñ aag aur jumbish se Dartā hoñ
sitam sahte hue har din nai KHwahish se Darta hun
meri aankhon mein gham hai aur main barish se Darta hun
meri pakizgi ne hi banaya hai mujhe munsif
so main insaf karte waqt har laghzish se Darta hun
dilon ki wusaton ko banT hi sakti nahin duniya
main qiston mein banTa hun aur paimaish se Darta hun
jalata hun mohabbat ke diye nafrat ke aangan mein
nazar rakhta hun dushman par har ek shorish se Darta hun
meri aawargi mujh ko kahin rukne nahin deti
parinda hun rihaish ki har ek KHwahish se Darta hun
ghazal mein justuju rakhta hun main mafhum-e-taza ka
mere naqid main KHud lafzon ki aaraish se Darta hun
ajab ehsas ki manzil pe aa pahuncha hun ai 'rahi'
lagata hun dilon mein aag aur jumbish se Darta hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.