sitam sikhlaega rasm-e-wafa aise nahin hota
sitam sikhlā.egā rasm-e-vafā aise nahīñ hotā
sanam dikhlā.eñge rāh-e-ḳhudā aise nahīñ hotā
gino sab hasrateñ jo ḳhuuñ huī haiñ tan ke maqtal meñ
mire qātil hisāb-e-ḳhūñ-bahā aise nahīñ hotā
jahān-e-dil meñ kaam aatī haiñ tadbīreñ na ta.azīreñ
yahāñ paimān-e-taslīm-o-razā aise nahīñ hotā
har ik shab har ghaḌī guzre qayāmat yuuñ to hotā hai
magar har sub.h ho roz-e-jazā aise nahīñ hotā
ravāñ hai nabz-e-daurāñ gardishoñ meñ āsmāñ saare
jo tum kahte ho sab kuchh ho chukā aise nahīñ hotā
sitam sikhlaega rasm-e-wafa aise nahin hota
sanam dikhlaenge rah-e-KHuda aise nahin hota
gino sab hasraten jo KHun hui hain tan ke maqtal mein
mere qatil hisab-e-KHun-baha aise nahin hota
jahan-e-dil mein kaam aati hain tadbiren na taziren
yahan paiman-e-taslim-o-raza aise nahin hota
har ek shab har ghaDi guzre qayamat yun to hota hai
magar har subh ho roz-e-jaza aise nahin hota
rawan hai nabz-e-dauran gardishon mein aasman sare
jo tum kahte ho sab kuchh ho chuka aise nahin hota
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 673)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.