sitam-taraaz talak zaKHm-ashna bhi to ho
sitam-tarāz talak zaḳhm-āshnā bhī to ho
ufuq ufuq shafaq-e-dard kī hinā bhī to ho
ḳhalā-ba-pā huuñ magar dasht dasht ḳhāk-ba-sar
kuchh apnā aap miTāne kī intihā bhī to ho
maiñ ḳhaak ban ke fazā meñ bikhar bikhar jā.ūñ
kisī ke paañv tale zīna-e-sabā bhī to ho
havas kī barf badan se pighal to jaa.e magar
sharar sharar koī paikar kabhī chhuā bhī to ho
nazar nazar meñ hazāroñ savāl haiñ lekin
falak se koī mirī samt dekhtā bhī to ho
na.ī ghaḌī na.e sahrā na.e ufuq laa.ī
kisī tarah haq-e-āshuftagī adā bhī to ho
barahnagī mirā maz.hab mirā sulūk bane
magar badan pe kisī qadr kī ridā bhī to ho
mirī vafāoñ kī gahrā.iyoñ kā khoj to le
vo bahr-e-husn kabhī zarf-āzmā bhī to ho
faqat bayān-e-haqīqat nahīñ hai manzil-e-haq
jihat-shanās vo hai jo jihat-numā bhī to ho
tire sivā bhī kisī ko kahūñ nadīm magar
tire sivā koī shā.ista-vafā bhī to ho
sitam-taraaz talak zaKHm-ashna bhi to ho
ufuq ufuq shafaq-e-dard ki hina bhi to ho
KHala-ba-pa hun magar dasht dasht KHak-ba-sar
kuchh apna aap miTane ki intiha bhi to ho
main KHak ban ke faza mein bikhar bikhar jaun
kisi ke panw tale zina-e-saba bhi to ho
hawas ki barf badan se pighal to jae magar
sharar sharar koi paikar kabhi chhua bhi to ho
nazar nazar mein hazaron sawal hain lekin
falak se koi meri samt dekhta bhi to ho
nai ghaDi nae sahra nae ufuq lai
kisi tarah haq-e-ashuftagi ada bhi to ho
barahnagi mera mazhab mera suluk bane
magar badan pe kisi qadr ki rida bhi to ho
meri wafaon ki gahraiyon ka khoj to le
wo bahr-e-husn kabhi zarf-azma bhi to ho
faqat bayan-e-haqiqat nahin hai manzil-e-haq
jihat-shanas wo hai jo jihat-numa bhi to ho
tere siwa bhi kisi ko kahun nadim magar
tere siwa koi shaista-wafa bhi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.