sitam tir-e-nigah-e-dilruba tha
sitam tīr-e-nigāh-e-dilrubā thā
hamāre haq meñ paiġhām-e-qazā thā
huā achchhā ki vo ghar se na nikle
kise mā'lūm kis ke dil meñ kyā thā
mujhe vo yaad karte haiñ ye kah kar
ḳhudā baḳhshe nihāyat bā-vafā thā
umīd-e-vasl kī hālat na pūchho
faqat ik aasrā hī aasrā thā
bahut achchhā huā vo le ga.e dil
baḌā ziddī nihāyat bevafā thā
nahīñ mā'lūm us kam-sin ko ye bhī
hamāre dil meñ kyā hai aur kyā thā
na pūchho jalva-gāh-e-nāz kā jamāl
har ik mahv-e-jamāl-e-dilrubā thā
sunā hai mai-kashī karne lagā 'hijr'
vo mard-e-bā-ḳhudā to pārsā thā
sitam tir-e-nigah-e-dilruba tha
hamare haq mein paigham-e-qaza tha
hua achchha ki wo ghar se na nikle
kise ma'lum kis ke dil mein kya tha
mujhe wo yaad karte hain ye kah kar
KHuda baKHshe nihayat ba-wafa tha
umid-e-wasl ki haalat na puchho
faqat ek aasra hi aasra tha
bahut achchha hua wo le gae dil
baDa ziddi nihayat bewafa tha
nahin ma'lum us kam-sin ko ye bhi
hamare dil mein kya hai aur kya tha
na puchho jalwa-gah-e-naz ka jamal
har ek mahw-e-jamal-e-dilruba tha
suna hai mai-kashi karne laga 'hijr'
wo mard-e-ba-KHuda to parsa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.