sitam wo tumne kiye bhule hum gila dil ka
sitam vo tum ne kiye bhūle ham gila dil kā
huā tumhāre bigaḌne se faisla dil kā
bahār aate hī kunj-e-qafas nasīb huā
hazār haif ki niklā na hausla dil kā
chalā hai chhoḌ ke tanhā kidhar tasavvur-e-yār
shab-e-firāq meñ tujh se thā mashġhala dil kā
vo riñd huuñ ki mujhe hatkaḌī se bai.at hai
milā hai gesū-e-jānāñ se silsila dil kā
vo zulm karte haiñ ham par to log kahte haiñ
ḳhudā bure se na Daale muāmla dil kā
hazār fasl-e-gul aa.e junūñ! vo josh kahāñ
gayā shabāb ke ham-rāh valvala dil kā
ḳhudā ke haath hai ab apnā ai 'qalaq' insāf
butoñ se hashr meñ hogā muāmla dil kā
sitam wo tum ne kiye bhule hum gila dil ka
hua tumhaare bigaDne se faisla dil ka
bahaar aate hi kunj-e-qafas nasib hua
hazar haif ki nikla na hausla dil ka
chala hai chhoD ke tanha kidhar tasawwur-e-yar
shab-e-firaq mein tujh se tha mashghala dil ka
wo rind hun ki mujhe hatkaDi se baiat hai
mila hai gesu-e-jaanan se silsila dil ka
wo zulm karte hain hum par to log kahte hain
KHuda bure se na Dale muamla dil ka
hazar fasl-e-gul aae junun! wo josh kahan
gaya shabab ke ham-rah walwala dil ka
KHuda ke hath hai ab apna ai 'qalaq' insaf
buton se hashr mein hoga muamla dil ka
- Book : intekhab-e-zarrin (Pg. 137)
- Author : Khvaja Mohammad Zakariya
- Publication : Sangeet publication (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.