sitamgari bhi meri kushtagan bhi mere the
sitamgarī bhī mirī kushtagāñ bhī mere the
bayān karte hue nauha-ḳhvāñ bhī mere the
fazā meñ uḌte parindoñ kī Daar merī thī
nishāne mere the tīr-o-kamāñ bhī mere the
vo hajv merī thī vo sab qasīde mere the
tumhāre baare meñ vahm-o-gumāñ bhī mere the
saf-e-azīzāñ saf-e-dushmanāñ bhī merī thī
vo jañg merī thī sūd-o-ziyāñ bhī mere the
safar bhī merā thā aur gard-bād mere the
vo ishq merā thā aur imtihāñ bhī mere the
lahū bhī merā thā aur āstīñ bhī merī thī
vo teġh merī thī us par nishāñ bhī mere the
hazīmateñ bhī mirī muḳhbirī bhī merī thī
halāk hote hue pāsbāñ bhī mere the
sitamgari bhi meri kushtagan bhi mere the
bayan karte hue nauha-KHwan bhi mere the
faza mein uDte parindon ki Dar meri thi
nishane mere the tir-o-kaman bhi mere the
wo hajw meri thi wo sab qaside mere the
tumhaare bare mein wahm-o-guman bhi mere the
saf-e-azizan saf-e-dushmanan bhi meri thi
wo jang meri thi sud-o-ziyan bhi mere the
safar bhi mera tha aur gard-baad mere the
wo ishq mera tha aur imtihan bhi mere the
lahu bhi mera tha aur aastin bhi meri thi
wo tegh meri thi us par nishan bhi mere the
hazimaten bhi meri muKHbiri bhi meri thi
halak hote hue pasban bhi mere the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.