sitamgaron ne tarasha hai ek bahana naya
sitamgaroñ ne tarāshā hai ik bahāna nayā
jalāyā jā.egā phir koī āshiyāna nayā
vahī hikāyat-e-majbūrī-e-bashar ki jo thī
na koī daam nayā hai na āb-o-dāna nayā
ḳhudā nahīñ ho ḳhudā.ī pe iḳhtiyār to hai
kise majāl ki ab DhūñDhe āstāna nayā
harīf-e-mauja-e-tūfāñ hai merī tishna-labī
koī sune to zarā un se shāḳhsāna nayā
samundaroñ kī ravānī pe dastaras un kī
havā.eñ DhūñDhtī phirtī haiñ ab Thikāna nayā
tumhāre ahd-e-hukūmat meñ kis kī himmat hai
lagā.e fikr ke sahrā meñ shāmiyāna nayā
jo muttahid hoñ to qatre bhī ik samundar haiñ
sunegā kaun magar harf-e-mahramāna nayā
sitamgaron ne tarasha hai ek bahana naya
jalaya jaega phir koi aashiyana naya
wahi hikayat-e-majburi-e-bashar ki jo thi
na koi dam naya hai na aab-o-dana naya
KHuda nahin ho KHudai pe iKHtiyar to hai
kise majal ki ab DhunDhe aastana naya
harif-e-mauja-e-tufan hai meri tishna-labi
koi sune to zara un se shaKHsana naya
samundaron ki rawani pe dastaras un ki
hawaen DhunDhti phirti hain ab Thikana naya
tumhaare ahd-e-hukumat mein kis ki himmat hai
lagae fikr ke sahra mein shamiyana naya
jo muttahid hon to qatre bhi ek samundar hain
sunega kaun magar harf-e-mahramana naya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.