siwa is ke kya dusri baat hogi
sivā is ke kyā dūsrī baat hogī
tumheñ jiit hogī hameñ maat hogī
asar hai to yak-laḳht hogā numāyāñ
kashish hai to fauran mulāqāt hogī
mire dostoñ kī dil-āzāriyoñ meñ
mirī behtarī kī koī baat hogī
tirī zulf elaan farmā rahī hai
baḌī mūslā-dhār barsāt hogī
adam umr-e-rafta ne jaanā kahāñ hai
vo baiThī qarīb-e-ḳharābāt hogī
siwa is ke kya dusri baat hogi
tumhein jit hogi hamein mat hogi
asar hai to yak-laKHt hoga numayan
kashish hai to fauran mulaqat hogi
mere doston ki dil-azariyon mein
meri behtari ki koi baat hogi
teri zulf elan farma rahi hai
baDi musla-dhaar barsat hogi
adam umr-e-rafta ne jaana kahan hai
wo baiThi qarib-e-KHarabaat hogi
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 292)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.