siyah dil mein safedi ke bij boega
siyāh dil meñ safedī ke biij bo.egā
bichhaḌ ke jab vo milegā to ḳhuub ro.egā
hai us ke paas ujāloñ kā marhamī lashkar
vo saarī raat añdheroñ ke zaḳhm dho.egā
badī kā sabz samundar pukārtā hai use
vo nekiyoñ kī sabhī kashtiyāñ Dubo.egā
vo degā ruuh ko nām-o-nasab kī mahrūmī
badan kī Dor se rishte bahut piro.egā
maiñ us kī rahm kī bārish meñ qaht-zār huā
vo ab ke dhuup se miTTī mirī bhigo.egā
siyah dil mein safedi ke bij boega
bichhaD ke jab wo milega to KHub roega
hai us ke pas ujalon ka marhami lashkar
wo sari raat andheron ke zaKHm dhoega
badi ka sabz samundar pukarta hai use
wo nekiyon ki sabhi kashtiyan Duboega
wo dega ruh ko nam-o-nasab ki mahrumi
badan ki Dor se rishte bahut piroega
main us ki rahm ki barish mein qaht-zar hua
wo ab ke dhup se miTTi meri bhigoega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.