siyah-KHana-e-jaan mein sharar-e-shauq ki hai
siyāh-ḳhāna-e-jāñ meñ sharār-e-shauq kī hai
ye tāzgī ye damak nau-bahār shauq kī hai
tamām zabza-o-dīvār zard hai phir bhī
dabī dabī sī sadā ābshār-e-shauq kī hai
yahī badan se badan kā hai vālihāna kalām
mirī ragoñ meñ jo mastī ḳhumār-e-shauq kī hai
na tund-o-tez havā hai na mauj-e-tūfāñ-ḳhez
yahī to umr miyāñ kārobār-e-shauq kī hai
hai dīdanī dar-o-dīvār aarzū kī chamak
ajiib raushnī sham-e-mazār-e-shauq kī hai
nigāh-e-nāz fusūñ-āfrīñ ko hai ma.alūm
ki nok TuuTī huī dil meñ ḳhār-e-shauq kī hai
yahī hai nuqta-e-āġhāz shahr-e-gul 'ishrat'
isī dayār meñ ḳhushbū dayār-e-shauq kī hai
siyah-KHana-e-jaan mein sharar-e-shauq ki hai
ye tazgi ye damak nau-bahaar shauq ki hai
tamam zabza-o-diwar zard hai phir bhi
dabi dabi si sada aabshaar-e-shauq ki hai
yahi badan se badan ka hai walihana kalam
meri ragon mein jo masti KHumar-e-shauq ki hai
na tund-o-tez hawa hai na mauj-e-tufan-KHez
yahi to umr miyan karobar-e-shauq ki hai
hai didani dar-o-diwar aarzu ki chamak
ajib raushni sham-e-mazar-e-shauq ki hai
nigah-e-naz fusun-afrin ko hai malum
ki nok TuTi hui dil mein KHar-e-shauq ki hai
yahi hai nuqta-e-aghaz shahr-e-gul 'ishrat'
isi dayar mein KHushbu dayar-e-shauq ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.