siyah-KHana kabhi jalwa-gar sa lagta hai
siyāh-ḳhāna kabhī jalva-gar sā lagtā hai
kaho kahāñ se ye vīrāna ghar sā lagtā hai
ruke hue haiñ usī ''phir mileñge'' par ab tak
kahā zabān kā us kī nazar sā lagtā hai
chhupī hai kab koī bhī baat tum se par phir bhī
vo baat kyā hai ki kahne meñ Dar sā lagtā hai
ye aa.ine meñ mujhe dekhtā hai kaun bhalā
ik arse se jo idhar se udhar sā lagtā hai
jo jāntā hai ki vo jāntā nahīñ kuchh bhī
vo be-ḳhabar hī mujhe bā-ḳhabar sā lagtā hai
hai ḳhvāb-zār shikan-dar-shikan shikanja-bar
pa us meñ naqsh tirā mo'atabar sā lagtā hai
vo aur fasāna-e-kaun-o-makāñ vasī.a lage
maiñ aur qissa ye kuchh muḳhtasar sā lagtā hai
maqām-e-marg kahāñ koī āḳhirī manzil
sire se rāh-e-fanā ke safar sā lagtā hai
kisī tarah use anjām tak nahīñ laatā
tamāshā-sāz zarā be-hunar sā lagtā hai
siyah-KHana kabhi jalwa-gar sa lagta hai
kaho kahan se ye virana ghar sa lagta hai
ruke hue hain usi phir milenge par ab tak
kaha zaban ka us ki nazar sa lagta hai
chhupi hai kab koi bhi baat tum se par phir bhi
wo baat kya hai ki kahne mein Dar sa lagta hai
ye aaine mein mujhe dekhta hai kaun bhala
ek arse se jo idhar se udhar sa lagta hai
jo jaanta hai ki wo jaanta nahin kuchh bhi
wo be-KHabar hi mujhe ba-KHabar sa lagta hai
hai KHwab-zar shikan-dar-shikan shikanja-bar
pa us mein naqsh tera mo'atabar sa lagta hai
wo aur fasana-e-kaun-o-makan wasia lage
main aur qissa ye kuchh muKHtasar sa lagta hai
maqam-e-marg kahan koi aaKHiri manzil
sire se rah-e-fana ke safar sa lagta hai
kisi tarah use anjam tak nahin lata
tamasha-saz zara be-hunar sa lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.