siyah raat ke badan pe dagh ban ke rah gae
siyāh raat ke badan pe daaġh ban ke rah ga.e
ham āftāb the magar charāġh ban ke rah ga.e
kisī ko ishq meñ bhī ab junūñ se vāsta nahīñ
ye kyā huā ki saare dil dimāġh ban ke rah ga.e
vo shāḳh shāḳh niile piile laal rañg kyā hue
tamām dasht ke parind zaaġh ban ke rah ga.e
jinheñ ye zo.am thā zamīñ se tishnagī miTā.eñge
ajab huā vahī tahī-ayāġh ban ke rah ga.e
milegā sab ko apnā haq raheñge sab sukūn se
magar vo saare va.ade sabz baaġh ban ke rah ga.e
ujāḌte haiñ roz ham basī-basā.ī bastiyāñ
ḳhushā vo log jo makīn-e-rāġh ban ke rah ga.e
siyah raat ke badan pe dagh ban ke rah gae
hum aaftab the magar charagh ban ke rah gae
kisi ko ishq mein bhi ab junun se wasta nahin
ye kya hua ki sare dil dimagh ban ke rah gae
wo shaKH shaKH nile pile lal rang kya hue
tamam dasht ke parind zagh ban ke rah gae
jinhen ye zoam tha zamin se tishnagi miTaenge
ajab hua wahi tahi-ayagh ban ke rah gae
milega sab ko apna haq rahenge sab sukun se
magar wo sare wade sabz bagh ban ke rah gae
ujaDte hain roz hum basi-basai bastiyan
KHusha wo log jo makin-e-ragh ban ke rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.