siyasi masnadon ki pasbani kyon nahin karte
siyāsī masnadoñ kī pāsbānī kyoñ nahīñ karte
ki sachche log āḳhir hukmrānī kyoñ nahīñ karte
isī ik baat ne mujh ko pareshāñ kar ke rakkhā hai
mire ash.ār merī tarjumānī kyoñ nahīñ karte
tumhārī shaan meñ vo lab-kushā.ī kartā rahtā hai
palaT kar tum kabhī ātish-bayānī kyoñ nahīñ karte
bashar ke hī muqaddar meñ likhīñ kyā hijrateñ saarī
farishto tum kabhī naql-e-makānī kyoñ nahīñ karte
agar kuchh bhī kaho un se nikal aatī haiñ talvāreñ
ḳhudā vo guftugū āḳhir zabānī kyoñ nahīñ karte
siyasi masnadon ki pasbani kyon nahin karte
ki sachche log aaKHir hukmrani kyon nahin karte
isi ek baat ne mujh ko pareshan kar ke rakkha hai
mere ashaar meri tarjumani kyon nahin karte
tumhaari shan mein wo lab-kushai karta rahta hai
palaT kar tum kabhi aatish-bayani kyon nahin karte
bashar ke hi muqaddar mein likhin kya hijraten sari
farishto tum kabhi naql-e-makani kyon nahin karte
agar kuchh bhi kaho un se nikal aati hain talwaren
KHuda wo guftugu aaKHir zabani kyon nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.