siyah bistar paDe hain subh-e-nazzara utar aae
siyah bistar paḌe haiñ sub.h-e-nazzāra utar aa.e
ki shab ko ziina ziina koī mah-pāra utar aa.e
savār-e-ġham ravāñ haiñ khol do ishrat-kadoñ ke dar
ḳhabar kyā kaun añdhere kā thakā-hārā utar aa.e
ajab Dar hai maTīlī vādiyāñ uupar ko taktī haiñ
kisī tūfān kī sūrat na tayyāra utar aa.e
damak uTThe mirī sub.hoñ meñ vo hañstā huā chehra
mirī rātoñ meñ un āñkhoñ kā ġham saarā utar aa.e
haqīqat kī sharar-añgeziyoñ meñ guftugū us kī
zabāñ kholūñ to jaise lab pe añgāra utar aa.e
daraḳhshāñ bāzuoñ kī halqa halqa surḳh sī maujeñ
hamāre ḳhuun se sho.aloñ kā favvārā utar aa.e
tamāshe bahr kī sat.hoñ pe maujoñ ke bhī kyā kam haiñ
ki uupar se havāoñ kī adā-kāra utar aa.e
siyah bistar paDe hain subh-e-nazzara utar aae
ki shab ko zina zina koi mah-para utar aae
sawar-e-gham rawan hain khol do ishrat-kadon ke dar
KHabar kya kaun andhere ka thaka-haara utar aae
ajab Dar hai maTili wadiyan upar ko takti hain
kisi tufan ki surat na tayyara utar aae
damak uTThe meri subhon mein wo hansta hua chehra
meri raaton mein un aankhon ka gham sara utar aae
haqiqat ki sharar-angeziyon mein guftugu us ki
zaban kholun to jaise lab pe angara utar aae
daraKHshan bazuon ki halqa halqa surKH si maujen
hamare KHun se shoalon ka fawwara utar aae
tamashe bahr ki sathon pe maujon ke bhi kya kam hain
ki upar se hawaon ki ada-kara utar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.