so hashr mein liye dil-e-hasrat maab mein
so hashr meñ liye dil-e-hasrat ma.aab meñ
ābād ho rahā huuñ jahān-e-ḳharāb meñ
ham apnī be-qarāri-e-dil se haiñ be-qarār
āmezish-e-sukūñ hai is iztirāb meñ
ab sair-e-gul kahāñ dil-e-rañgīñ nazar kahāñ
ik ḳhvāb thā jo dekh liyā thā shabāb meñ
baḌh baḌh ke chhup rahe haiñ pas parda baar baar
kyā kyā takallufāt haiñ tark-e-hijāb meñ
'ahsan' dil un ko do magar itnā to pūchh lo
lete ho tum ye naqd raqam kis hisāb meñ
so hashr mein liye dil-e-hasrat maab mein
aabaad ho raha hun jahan-e-KHarab mein
hum apni be-qarari-e-dil se hain be-qarar
aamezish-e-sukun hai is iztirab mein
ab sair-e-gul kahan dil-e-rangin nazar kahan
ek KHwab tha jo dekh liya tha shabab mein
baDh baDh ke chhup rahe hain pas parda bar bar
kya kya takallufat hain tark-e-hijab mein
'ahsan' dil un ko do magar itna to puchh lo
lete ho tum ye naqd raqam kis hisab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.