Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

so rahenge ki jagte rahenge

Tahzeeb Hafi

so rahenge ki jagte rahenge

Tahzeeb Hafi

MORE BYTahzeeb Hafi

    so raheñge ki jāgte raheñge

    ham tire ḳhvāb dekhte raheñge

    kahīñ aur DhūñDhtā rahegā

    ham kahīñ aur khile raheñge

    rāhgīroñ ne rah badalnī hai

    peḌ apnī jagah khaḌe rahe haiñ

    barf pighlegī aur pahāḌoñ meñ

    sālhā-sāl rāste raheñge

    sabhī mausam haiñ dastaras meñ tirī

    ne chāhā to ham hare raheñge

    lauTnā kab hai ne par tujh ko

    ādatan pukārte raheñge

    tujh ko paane meñ mas.ala ye hai

    tujh ko khone ke vasvase raheñge

    idhar dekh mujh se bāteñ kar

    yaar chashme to phūTte raheñge

    so rahenge ki jagte rahenge

    hum tere KHwab dekhte rahenge

    tu kahin aur DhunDhta rahega

    hum kahin aur hi khile rahenge

    rahgiron ne rah badalni hai

    peD apni jagah khaDe rahe hain

    barf pighlegi aur pahaDon mein

    salha-sal raste rahenge

    sabhi mausam hain dastaras mein teri

    tu ne chaha to hum hare rahenge

    lauTna kab hai tu ne par tujh ko

    aadatan hi pukarte rahenge

    tujh ko pane mein masala ye hai

    tujh ko khone ke waswase rahenge

    tu idhar dekh mujh se baaten kar

    yar chashme to phuTte rahenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now