so to jaun charagh gul kar ke
so to jā.ūñ charāġh gul kar ke
zaḳhm khulne lageñge bistar ke
apnī shiddat ko mo'atabar kar luuñ
tere hoñToñ pe dastaḳhat karke
vo to jannat kī khiḌkiyāñ niklīñ
jin se maiñ jhāñktā thā Dar Dar ke
saikḌoñ bijliyāñ girā Dālīñ
ek jugnū ne raushnī karke
dhuup meñ aur bhī nikharte haiñ
phuul haiñ ye to sang-e-marmar ke
so to jaun charagh gul kar ke
zaKHm khulne lagenge bistar ke
apni shiddat ko mo'atabar kar lun
tere honTon pe dastaKHat karke
wo to jannat ki khiDkiyan niklin
jin se main jhankta tha Dar Dar ke
saikDon bijliyan gira Dalin
ek jugnu ne raushni karke
dhup mein aur bhi nikharte hain
phul hain ye to sang-e-marmar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.