soch ke is sune sahra ko jab se tera dhyan mila
soch ke is suune sahrā ko jab se terā dhyān milā
ham bhī gautam ban baiThe haiñ ham ko bhī nirvān milā
ham ne dekhā raat thī kaalī jis kā koī or na chhor
us ne ruḳh se zulf haTā.ī sūraj ko sammān milā
ḳhud sharmā.e sau bal khaa.e dekh ke apnā ruup sarūp
baat kī baat na samjhe yaaro kaisā hameñ nādān milā
ashk bhare haiñ nain kaTore ġham kī lazzat yaar na pūchh
ishq-nagar ke mehmānoñ kī ḳhātir kyā jalpān milā
raah ba-zāt-e-ḳhud maqsad hai chalte rahnā manzil hai
bastī bastī jañgal jañgal bhaTke to ye gyaan milā
soch ke is sune sahra ko jab se tera dhyan mila
hum bhi gautam ban baiThe hain hum ko bhi nirwan mila
hum ne dekha raat thi kali jis ka koi or na chhor
us ne ruKH se zulf haTai suraj ko samman mila
KHud sharmae sau bal khae dekh ke apna rup sarup
baat ki baat na samjhe yaro kaisa hamein nadan mila
ashk bhare hain nain kaTore gham ki lazzat yar na puchh
ishq-nagar ke mehmanon ki KHatir kya jalpan mila
rah ba-zat-e-KHud maqsad hai chalte rahna manzil hai
basti basti jangal jangal bhaTke to ye gyan mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.