soch mein gum be-karan pahnaiyan
soch meñ gum be-karāñ pahnā.iyāñ
ishq hai aur hijr kī tanhā.iyāñ
raat kahtī hai ki kaTne kī nahīñ
dard kahtā hai karam-farmā.iyāñ
bain kartī hai darīchoñ meñ havā
raqs kartī haiñ siyah parchhā.iyāñ
ḳhāmushī jaise koī āh-e-tavīl
siskiyāñ letī huī tanhā.iyāñ
kaun tū hai kaun maiñ kaisī vafā
hāsil-e-hastī haiñ kuchh rusvā.iyāñ
yaad se terī sukūñ yuuñ aa gayā
sub.h dam jaise chaleñ purvā.iyāñ
soch mein gum be-karan pahnaiyan
ishq hai aur hijr ki tanhaiyan
raat kahti hai ki kaTne ki nahin
dard kahta hai karam-farmaiyan
bain karti hai darichon mein hawa
raqs karti hain siyah parchhaiyan
KHamushi jaise koi aah-e-tawil
siskiyan leti hui tanhaiyan
kaun tu hai kaun main kaisi wafa
hasil-e-hasti hain kuchh ruswaiyan
yaad se teri sukun yun aa gaya
subh dam jaise chalen purwaiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.