soch mein tere suna raat jo khaTka-paTka
soch meñ tere sunā raat jo khaTkā-paTkā
sar ko takiye se uThā paTTī pe de de paTkā
tū ne gar kañghī jo kākul ko pakaḌ kar jhaTkā
dil paḌā phirtā hai sar mārtā bhūlā-bhaTkā
laḳht-e-dil aa sar-e-mizhgāñ pe laTakte haiñ paḌe
terī ulfat ne bhalā saañg dikhāyā naT kā
jab na tab bose pe haTte ho ki dūñgā na kabhī
maan kar ye na mirī jaan phir aisī haT kā
kyuuñ tirī chaal laTak dekh ke dil laTke haiñ
kuchh to ham ko bhī batā kis se ye sīkhā laTkā
naT-khaTī dekh tirī maiñ to achambhe meñ rahā
dil jhapaT haath se jhaT raag sunāyā khaTkā
ghar base bol bhī kuchh kyā hai ḳharābī Thānī
kab talak ham se phiregā yūñhī phaTkā phaTkā
dil-e-gum-gashta kī har ik se maiñ kartā huuñ talāsh
chor jo thā vahī āñkhoñ ko churā kar saTkā
soch mein tere suna raat jo khaTka-paTka
sar ko takiye se uTha paTTi pe de de paTka
tu ne gar kanghi jo kakul ko pakaD kar jhaTka
dil paDa phirta hai sar marta bhula-bhaTka
laKHt-e-dil aa sar-e-mizhgan pe laTakte hain paDe
teri ulfat ne bhala sang dikhaya naT ka
jab na tab bose pe haTte ho ki dunga na kabhi
man kar ye na meri jaan phir aisi haT ka
kyun teri chaal laTak dekh ke dil laTke hain
kuchh to hum ko bhi bata kis se ye sikha laTka
naT-khaTi dekh teri main to achambhe mein raha
dil jhapaT hath se jhaT rag sunaya khaTka
ghar base bol bhi kuchh kya hai KHarabi Thani
kab talak hum se phirega yunhi phaTka phaTka
dil-e-gum-gashta ki har ek se main karta hun talash
chor jo tha wahi aankhon ko chura kar saTka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.