sochi thi jo wo jurm-o-saza tak pahunch gai
sochī thī jo vo jurm-o-sazā tak pahuñch ga.ī
jo baat dil meñ thī vo ḳhudā tak pahuñch ga.ī
patta girā ki sar pe koī sañg aa lagā
chup-chāp us kī yaad sadā tak pahuñch ga.ī
us gul pe phuul phuul ne dil meñ kiyā hai rashk
jab shab kī baat bād-e-sabā tak pahuñch ga.ī
maiñ mahv-e-ḳhvāb thā ki mire man kī ek mauj
uTThī to us ke band-e-qabā tak pahuñch ga.ī
maiñ baat kar rahā thā zamāne ke jaur kī
aage baḌhī to us kī adā tak pahuñch ga.ī
ik aarzū ki dil meñ rahī hai tamām-umr
tañg aa ke aaj dast-e-duā tak pahuñch ga.ī
sochi thi jo wo jurm-o-saza tak pahunch gai
jo baat dil mein thi wo KHuda tak pahunch gai
patta gira ki sar pe koi sang aa laga
chup-chap us ki yaad sada tak pahunch gai
us gul pe phul phul ne dil mein kiya hai rashk
jab shab ki baat baad-e-saba tak pahunch gai
main mahw-e-KHwab tha ki mere man ki ek mauj
uTThi to us ke band-e-qaba tak pahunch gai
main baat kar raha tha zamane ke jaur ki
aage baDhi to us ki ada tak pahunch gai
ek aarzu ki dil mein rahi hai tamam-umr
tang aa ke aaj dast-e-dua tak pahunch gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.