sochiye ye sochna bhi kam nahin
sochiye ye sochnā bhī kam nahīñ
zindagī meñ aaj koī ġham nahīñ
hai saf.ha mahfūz dil kā is qadar
ye kisī bārish se hotā nam nahīñ
kaash aate bādaloñ ke sang tum
bhā rahā barsāt kā mausam nahīñ
aañkh terī ḳhushk hai kyā āsmāñ
raat pattoñ pe girī shabnam nahīñ
'sarv' aise ghaav kyoñ ham ko diye
jin ke bharne kā koī marham nahīñ
sochiye ye sochna bhi kam nahin
zindagi mein aaj koi gham nahin
hai safha mahfuz dil ka is qadar
ye kisi barish se hota nam nahin
kash aate baadalon ke sang tum
bha raha barsat ka mausam nahin
aankh teri KHushk hai kya aasman
raat patton pe giri shabnam nahin
'sarw' aise ghaw kyon hum ko diye
jin ke bharne ka koi marham nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.