socho to bahut kuchh hai magar baat zara si
socho to bahut kuchh hai magar baat zarā sī
yaad aatī hai ab tak vo mulāqāt zarā sī
ai kaash ki pākīzgī-e-husn ko miltī
vāraftagī-e-shorish-e-jazbāt zarā sī
ik umr tirī yaad meñ kis tarah guzāreñ
vo jin se guzartī nahīñ ik raat zarā sī
ab bhī vahī aalam hai vahī ham haiñ vahī ġham
badlī hī nahīñ sūrat-e-hālāt zarā sī
itnā bhī na de tuul ġham-e-ishq ko 'rāhī'
baḌh jaa.e na zālim kahīñ ik baat zarā sī
socho to bahut kuchh hai magar baat zara si
yaad aati hai ab tak wo mulaqat zara si
ai kash ki pakizgi-e-husn ko milti
waraftagi-e-shorish-e-jazbaat zara si
ek umr teri yaad mein kis tarah guzaren
wo jin se guzarti nahin ek raat zara si
ab bhi wahi aalam hai wahi hum hain wahi gham
badli hi nahin surat-e-haalat zara si
itna bhi na de tul gham-e-ishq ko 'rahi'
baDh jae na zalim kahin ek baat zara si
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.