sochon se in KHwabon ki zanjiren kab utrengi
sochoñ se in ḳhvāboñ kī zanjīreñ kab utreñgī
rasta dekhtī āñkhoñ par tābīreñ kab utreñgī
apne pyāroñ ke jaane kā mātam kab tak hogā
dīvāroñ se ye pichhlī tasvīreñ kab utreñgī
TuuTī kaḌiyāñ joḌne vaale āḳhir kab ā.eñge
girheñ kholne vaalī vo tahrīreñ kab utreñgī
tujh bin ḳhālī rah kar kitne saal bitāne hoñge
mere hāthoñ meñ terī taqdīreñ kab utreñgī
kab badleñgī zaḳhm pe marham rakhne vaalī rasmeñ
dard kī gahrā.ī meñ ye tadbīreñ kab utreñgī
sochon se in KHwabon ki zanjiren kab utrengi
rasta dekhti aankhon par tabiren kab utrengi
apne pyaron ke jaane ka matam kab tak hoga
diwaron se ye pichhli taswiren kab utrengi
TuTi kaDiyan joDne wale aaKHir kab aaenge
girhen kholne wali wo tahriren kab utrengi
tujh bin KHali rah kar kitne sal bitane honge
mere hathon mein teri taqdiren kab utrengi
kab badlengi zaKHm pe marham rakhne wali rasmen
dard ki gahrai mein ye tadbiren kab utrengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.