sochta hun ki dil-e-zar ka matlab kya hai
sochtā huuñ ki dil-e-zār kā matlab kyā hai
ek hañste hue bīmār kā matlab kyā hai
aap kahte haiñ ki dīvār girā dī jaa.e
aap kī nazroñ meñ dīvār kā matlab kyā hai
āḳhirī faisla tum apne mutābiq loge
phir mirī haamī yā inkār kā matlab kyā hai
sañg-dil logoñ se kyā apnī tabī.at kahte
kisī dīvār se guftār kā matlab kyā hai
uTh ke jā sakte haiñ ham aisoñ ke saa.e se aap
ham samajhte haiñ ki ashjār kā matlab kyā hai
pahle pahle to faqat zabt ke imkān rahe
rafta rafta khulā iz.hār kā matlab kyā hai
maiñ ki chup zaat thā so sher kahā kartā thā
pūchh letī thī vo ash.ār kā matlab kyā hai
sochta hun ki dil-e-zar ka matlab kya hai
ek hanste hue bimar ka matlab kya hai
aap kahte hain ki diwar gira di jae
aap ki nazron mein diwar ka matlab kya hai
aaKHiri faisla tum apne mutabiq loge
phir meri hami ya inkar ka matlab kya hai
sang-dil logon se kya apni tabiat kahte
kisi diwar se guftar ka matlab kya hai
uTh ke ja sakte hain hum aison ke sae se aap
hum samajhte hain ki ashjar ka matlab kya hai
pahle pahle to faqat zabt ke imkan rahe
rafta rafta khula izhaar ka matlab kya hai
main ki chup zat tha so sher kaha karta tha
puchh leti thi wo ashaar ka matlab kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.