sochta hun ki use nind bhi aati hogi
sochtā huuñ ki use niiñd bhī aatī hogī
yā mirī tarah faqat ashk bahātī hogī
vo mirī shakl mirā naam bhulāne vaalī
apnī tasvīr se kyā aañkh milātī hogī
is zamīñ par bhī hai sailāb mire ashkoñ se
mere mātam kī sadā arsh hilātī hogī
shaam hote hī vo chaukhaT pe jalā kar sham.eñ
apnī palkoñ pe ka.ī ḳhvāb sulātī hogī
us ne silvā bhī liye hoñge siyah-rañg libās
ab moharram kī tarah iid manātī hogī
mere tārīk zamānoñ se nikalne vaalī
raushnī tujh ko mirī yaad dilātī hogī
ruup de kar mujhe is meñ kisī shahzāde kā
apne bachchoñ ko kahānī vo sunātī hogī
sochta hun ki use nind bhi aati hogi
ya meri tarah faqat ashk bahati hogi
wo meri shakl mera nam bhulane wali
apni taswir se kya aankh milati hogi
is zamin par bhi hai sailab mere ashkon se
mere matam ki sada arsh hilati hogi
sham hote hi wo chaukhaT pe jala kar shamen
apni palkon pe kai KHwab sulati hogi
us ne silwa bhi liye honge siyah-rang libas
ab moharram ki tarah id manati hogi
mere tarik zamanon se nikalne wali
raushni tujh ko meri yaad dilati hogi
rup de kar mujhe is mein kisi shahzade ka
apne bachchon ko kahani wo sunati hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.