sochta hun ki wo kaisa hoga
sochtā huuñ ki vo kaisā hogā
ā.īna hogā ki chehrā hogā
jab khulī hotī tire dosh pe zulf
abr bhī TuuT ke barsā hogā
jis ke jalvoñ kī koī had hī nahīñ
maiñ ne kitnā use chāhā hogā
log firdaus jise kahte haiñ
is zamīñ kā koī TukḌā hogā
jaam kyoñ haath se gir jaatā hai
mai-kade meñ koī pyāsā hogā
mahfileñ kartī haiñ ḳhud us kā tavāf
kaun kahtā hai vo tanhā hogā
us kī mahfil meñ chale ho to 'ziyā'
dīda-o-dil pe bhī pahra hogā
sochta hun ki wo kaisa hoga
aaina hoga ki chehra hoga
jab khuli hoti tere dosh pe zulf
abr bhi TuT ke barsa hoga
jis ke jalwon ki koi had hi nahin
main ne kitna use chaha hoga
log firdaus jise kahte hain
is zamin ka koi TukDa hoga
jam kyon hath se gir jata hai
mai-kade mein koi pyasa hoga
mahfilen karti hain KHud us ka tawaf
kaun kahta hai wo tanha hoga
us ki mahfil mein chale ho to 'ziya'
dida-o-dil pe bhi pahra hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.