sochta hun kidhar gae hum log
sochtā huuñ kidhar ga.e ham log
jī rahe haiñ ki mar ga.e ham log
raat bhar ek ek jam.a hue
pau phaTe hī bikhar ga.e ham log
apnā ghar DhūñDne ko kyā nikle
jaane kis kis ke ghar ga.e ham log
ye makāñ shahr bhaa.ī aur bahan
in hadoñ se guzar ga.e ham log
dil kahīñ hai to dast-o-pā haiñ kahīñ
jism taqsīm kar ga.e ham log
sochta hun kidhar gae hum log
ji rahe hain ki mar gae hum log
raat bhar ek ek jama hue
pau phaTe hi bikhar gae hum log
apna ghar DhunDne ko kya nikle
jaane kis kis ke ghar gae hum log
ye makan shahr bhai aur bahan
in hadon se guzar gae hum log
dil kahin hai to dast-o-pa hain kahin
jism taqsim kar gae hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.