sochta hun main ki kuchh is tarah rona chahiye
sochtā huuñ maiñ ki kuchh is tarah ronā chāhiye
apne ashkoñ se tirā dāman bhigonā chāhiye
zindagī kī raah par kaise akele ham chaleñ
is safar meñ ham-safar koī to honā chāhiye
dil bahut chhoTā hai merā aur jahāñ meñ ġham bahut
maiñ pareshāñ huuñ kise kaise samonā chāhiye
bachcha rotā hai magar rotā hai vo taqdīr par
maañ samajhtī hai ki munne ko khilaunā chāhiye
ajnabī bistar ye bolā raat ke pichhle pahar
ai 'sabīh'-e-be-vatan ab tujh ko sonā chāhiye
sochta hun main ki kuchh is tarah rona chahiye
apne ashkon se tera daman bhigona chahiye
zindagi ki rah par kaise akele hum chalen
is safar mein ham-safar koi to hona chahiye
dil bahut chhoTa hai mera aur jahan mein gham bahut
main pareshan hun kise kaise samona chahiye
bachcha rota hai magar rota hai wo taqdir par
man samajhti hai ki munne ko khilauna chahiye
ajnabi bistar ye bola raat ke pichhle pahar
ai 'sabih'-e-be-watan ab tujh ko sona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.