sochta rahta hun takmil-e-wafa kaise ho
sochtā rahtā huuñ takmīl-e-vafā kaise ho
aadmī bhī vo nahīñ hai to ḳhudā kaise ho
ishq ko hausla-e-tark-e-vafā kaise ho
lafz ma.anī kī sadāqat se judā kaise ho
maiñ to pūchhūñgā ki tum sab ke ḳhudā kaise ho
merī āvāz farishtoñ kī sadā kaise ho
ek ġham ho to bikhar jaa.e mire chehre par
ġhair-mahdūd masā.ib haiñ ziyā kaise ho
sochne vāloñ kī niyyat ko ḳhudā hī jaane
baat vāloñ ko nahīñ fikr-e-vafā kaise ho
us ne majbūr-e-vafā jaan ke muñh pher liyā
mujh se ye bhuul huī pūchh liyā kaise ho
ik sulagtā huā dil tum se jalāyā na gayā
jaane tum muḳhlis-e-arbāb-e-vafā kaise ho
kis kī sūrat meñ nahīñ jalva-e-ḳhūn-e-mazdūr
ḳhūn-e-mazdūr kī qīmat bhī adā kaise ho
ishq nā-vāqif-e-ādāb-e-talab hai 'anjum'
husn āmāda-e-iz.hār-e-vafā kaise ho
sochta rahta hun takmil-e-wafa kaise ho
aadmi bhi wo nahin hai to KHuda kaise ho
ishq ko hausla-e-tark-e-wafa kaise ho
lafz mani ki sadaqat se juda kaise ho
main to puchhunga ki tum sab ke KHuda kaise ho
meri aawaz farishton ki sada kaise ho
ek gham ho to bikhar jae mere chehre par
ghair-mahdud masaib hain ziya kaise ho
sochne walon ki niyyat ko KHuda hi jaane
baat walon ko nahin fikr-e-wafa kaise ho
us ne majbur-e-wafa jaan ke munh pher liya
mujh se ye bhul hui puchh liya kaise ho
ek sulagta hua dil tum se jalaya na gaya
jaane tum muKHlis-e-arbab-e-wafa kaise ho
kis ki surat mein nahin jalwa-e-KHun-e-mazdur
KHun-e-mazdur ki qimat bhi ada kaise ho
ishq na-waqif-e-adab-e-talab hai 'anjum'
husn aamada-e-izhaar-e-wafa kaise ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.