sochte aur jagte sanson ka ek dariya hun main
sochte aur jāgte sāñsoñ kā ik dariyā huuñ maiñ
apne gum-gashta kināroñ ke liye bahtā huuñ maiñ
besh-qīmat huuñ mirī qīmat lagā saktā hai kaun
tere kūche meñ bikūñ to phir bahut sastā huuñ maiñ
ḳhvāb jo dekhe the maiñ ne vo bhī ab dhuñdlā ga.e
ab to tum aa jaao sāhab ab bahut tanhā huuñ maiñ
jal gayā saarā badan in mausamoñ kī aag meñ
ek mausam ruuh hai jis meñ ki ab zinda huuñ maiñ
mere hoñToñ kā tabassum de gayā dhokā tujhe
tū ne mujh ko baaġh jaanā dekh le sahrā huuñ maiñ
maiñ to yaaro aap apnī jaan kā dushman huā
zahr ban ke aap apnī ruuh meñ utrā huuñ maiñ
dekhne merī pazīrā.ī ko ab aatā hai kaun
lamha bhar ko vaqt kī dahlīz par aayā huuñ maiñ
tū ne be-dekhe guzar kar mujh ko patthar kar diyā
tū palaT kar dekh le to aaj bhī hiirā huuñ maiñ
lafz gūñge haiñ inheñ goyā.ī dene ke liye
zindagī ke sachche lamhoñ meñ ġhazal kahtā huuñ maiñ
sochte aur jagte sanson ka ek dariya hun main
apne gum-gashta kinaron ke liye bahta hun main
besh-qimat hun meri qimat laga sakta hai kaun
tere kuche mein bikun to phir bahut sasta hun main
KHwab jo dekhe the main ne wo bhi ab dhundla gae
ab to tum aa jao sahab ab bahut tanha hun main
jal gaya sara badan in mausamon ki aag mein
ek mausam ruh hai jis mein ki ab zinda hun main
mere honTon ka tabassum de gaya dhoka tujhe
tu ne mujh ko bagh jaana dekh le sahra hun main
main to yaro aap apni jaan ka dushman hua
zahr ban ke aap apni ruh mein utra hun main
dekhne meri pazirai ko ab aata hai kaun
lamha bhar ko waqt ki dahliz par aaya hun main
tu ne be-dekhe guzar kar mujh ko patthar kar diya
tu palaT kar dekh le to aaj bhi hira hun main
lafz gunge hain inhen goyai dene ke liye
zindagi ke sachche lamhon mein ghazal kahta hun main
- Book : Pakistani Adab (Pg. 326)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.