sochte rahte hain aksar raat mein
sochte rahte haiñ aksar raat meñ
Duub kyuuñ jaate haiñ manzar raat meñ
kis ne lahrā.ī haiñ zulfeñ duur tak
kaun phirtā hai khule-sar raat meñ
chāñdnī pī kar bahak jaatī hai raat
chāñd ban jaatā hai sāġhar raat meñ
chuum lete haiñ kināroñ kī hadeñ
jhuum uThte haiñ samundar raat meñ
khiḌkiyoñ se jhāñktī hai raushnī
battiyāñ jaltī haiñ ghar ghar raat meñ
raat kā ham par baḌā ehsān hai
ro liyā karte haiñ khul kar raat meñ
dil kā pahlū meñ gumāñ hotā nahīñ
aañkh ban jaatī hai patthar raat meñ
'alvī' sāhab vaqt hai ārām kā
so raho sab kuchh bhulā kar raat meñ
sochte rahte hain aksar raat mein
Dub kyun jate hain manzar raat mein
kis ne lahrai hain zulfen dur tak
kaun phirta hai khule-sar raat mein
chandni pi kar bahak jati hai raat
chand ban jata hai saghar raat mein
chum lete hain kinaron ki haden
jhum uThte hain samundar raat mein
khiDkiyon se jhankti hai raushni
battiyan jalti hain ghar ghar raat mein
raat ka hum par baDa ehsan hai
ro liya karte hain khul kar raat mein
dil ka pahlu mein guman hota nahin
aankh ban jati hai patthar raat mein
'alwi' sahab waqt hai aaram ka
so raho sab kuchh bhula kar raat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.